Facebook Account ko delete kaise kare

Facebook ek aysi site hai jispar abhi ke time me agar koi net use karta hai to uska facebook par 100% Account hoga. Kuch surveys ke hisab se average ek admi 23 minute Facebook chalata hai ek din me.
Simple Sabdo me kahu to kuch logo ko Facebook ka kida rhata hai. Choti se choti chij ko facebook par share karte hai jese – kab khana kaya, kab soye, kab ute, kaha gaye, kya piya, dinbhar me 20-30 post daalte hai. or like ke liye to kya batao kya pagal pan hai, Comment to bas ek aa jaye comment acha hai to usko like bhi kar sakte hai par nahi reply karege thx, taki or comment bade. kheer… apne topic par aate hai, or jaan lete hai fb account delete permanently in hindi me.
Dosto aaj mai aapko bataunga ki kaise aap apna Facebook account delete kaise kar sakte h.
Facebook Account ko Delete Kaise Kare

sabse pahle mai aapko yah bata doo ki facebook account delete karne se kya hota h.
 Facebook Account ko jab koi delete karte hai to uska account koi search nahi kar pata or uske jitne bhi photo ya video jo usne upload kiye hai wo kisi ko nahi dikhte par agar wo kisi ka friend hai to uski friend list me uska naam dikhta hai.
ab Mai aapko batata hoo ki kaise aap apna facebook account delete karenge
Step.1. Sabse pahle aap apne facebook me login ho jayiye. 
Step.2. Ab yaha click kare aap phir se apne facebook par pahunch jayenge.
Step.3. ab aap ko aapse reason poocha jayega ki aap kyu apna account delete kar rahe h iske liye aap usme se koi bhi 1 option selct kar lijiyega. Select karne ke baad Otp out of recieving ko select kare.

Step.4 Ab Deactivate ki button par click karde.

to dosto ab aapka facebook account delete ho chuka h.dosto kaisi lagi hamari yah post hame comment karke jaroor bataye.