Facebook Kya h & Facebook Friend list ko doosro se kaise chupaaye
2 minute read
Facebook Kya h
Ekisvi (21th) sadi mai sanchar sirf ek goli ki raftar se bhagta ghoda nahi reh gaya, balki ab hum ye keh sakte hai ki internet ke aane se sanchar prakash ki gati se chalta hai. Internet hame ek doorse sai turant connect karne ki shamta deta raha hai, or iski kalpana to wo bhi nahi kar sakte the jinhone internet ka avishkar kia tha.
Internet ki sabse bhadia baat ye hai ki internet par badiya cheeze hume free mai uplabdh hai. Jaise ki Facebook, e-mail, Twitter, YouTube or pata nahi kitne sare tools. Insaan samajte hai or hum logo ko naturally group mai rehna pasand hai, aur jab internet aya to hum logo ne internet par bhi group banane shuru kar diye.Inhi groups ko hum social networks kehte hai. Internet par lakho Social Networks hai jinme se sabse famous hai Facebook.
Facebook ek social network hai jo logo ko ek doosre se jodne mai help karta hai, aap facebook ke dwara apne dosto, rishtedaro se hamesha sampark mai reh sakte hai. Facebook ne hamesha se hi asli dunia ko digital dunia mai banane ki hai or wo isme kafi had tak safal bhi ho paye hai.
Facebook free hai or koi bhi facebook par jakar apna account bana sakta hai.Facebook par har second 5 nai profiles banti hai, aur 2015 mai 144 crore log monthly Facebook par active rehte hai, joki ki bohot teji se badh rahe hai
Ab aap me se kayi log jo ki purani soch rakte Hai “ki Facebook jaisi cheeze hamari zindagi par negative effect daal rahi hai.” Par mera manna ye hai ki jo log esa kehte hai wo log badlav se darte hai. Technology hamari life ki quality ko sudharti hai jabtak ham uspar kaboo rakh ke chale, naa ki technology humko kaboo mai lele. Apne kabhi kisi ko dekha hoga jo ki abhi bhi mobile chod kar ghar par landline ka use karte hai, kya apko lagta hai ese log kabhi bhi jindagi mai aage nikal payenge. Haa hum ye keh sakte hai ki wo log utne mai hi kush hai, par agar apko life mai age badhna hai to apko technology ki help leni hi padegi.
Facebook Friend list ko kaise chupaaye
Dosto mai aapko bata doo jab aap apne friend list ko hide kar denge tab doosre log aapke Friend list ko nhi dekh payenge.yah bhut h badhiya trick h facebook friend ke list ko hide karne ki
1.Apne Facebook me login karo.1.Apne Profile par click karo.
3.Friends par click kare
4.Pencil (Edit Privacy) ke icon par click kare.
Ab ek window khulegi.
5.Friends list ke saamne jo option hai us par click kare. Agar aap chate hai ki aapke friends aapke friend list ko dekh paye to friend select kare. ya fir aapke alawa koi nahi dekhe to
Only Me Select kare.
6.Ab Done par click kare.
to dosto ab aapke friend list ko koi nhi dekh sakta.Dosto kaisi lagi hamri yah post hame comment karke jaroor bataye