Tez app me Payment Problem Kyu hoti h aur yah kaise Solve kare

Hy dosto aaj mai aapko tez app ke payment problem ke baare me kuch batane wala hoo. Dosto Tez app Google ke dwara launch kiya gaya h. Yah app bhit h badhiya h lekin isme ek problem h jo kabhi-kabhi ho jati h. Dosto mera matalab yah h ki agar ham Tez app se paise transfer karte h to wah Payment processing me hi laga rahta h jabki hamare bank account se paisa kat jata h.
*Tez App se Paisa Kaise Kamaye

Dosto mere saath bhi ek baar aysa hua, maine 5000 rupees apne dost ko tranfer kiya tha lekin mera payment processing me ho gaya tha aur paisa bhi bank se kat gaya tha, us samay mujhe aysa laga ki 
jaise mere 5000रू Doob gaye aur us samay maine Google kiya ki Tez Payment processing problem ko solve kaise kare, lekin dosto us samay mujhe aysa koi bhi article google par nhi mila jisse meri help ho sake. Us samay mujhe aysa laga ki ab mujhe mere paise nhi milenge. tab maine Google tez team ko call kiya aur 3 din baad mujhe Tez Team Customer care se call aaya. Lekin ustomer care se call aane se pahle mere dost ko 5000 Rupees mil gaye the. Dosto mai aapko batana chahta hoo ki agar aapke saath bhi kuch aysa ho ki apne apne kisi dost ko paise transfer kiye h aur wah abhi bhi processing me hya Payment Fail bata raha h aur paisa bhi bank se kat gaya h tab dosto aap habrayiye mat kyu ki yah Payment app google ka h aur google kabhi dhokha hi dega. lekin dosto aapko aapke dwara kiye gaya payment jo proceesing ya fail ho gaya tha uska paisa aapko 3-4 din me aapke bank ya aapke dost ke bank me transfer ho jayenge. isi liye dosto aap apne dost ko bhi yah kah dijiye ki wo bhi apna bank account check kar liya kare ho sakta h ki paisa apke dost ke 
paas pahunch gaya ho.
Dosto mai aapko yah bata doo ki yah Payment Processing ya Fail kyu ho jata h? Dosto iska main reason h ki aapke mobile Network speed bhut slow rahi hogi isiliye yah fail ho gaya h.
dosto agar aap bhi Tez customer care ko call karna hahte h to aap neeche bataye gaye step ko follow kare.

Must Read:-Tez app Se paise kaise kamaye 15000 Monthly Ghar Baithe



Tez Customer Care me Call kaise kare?

Step.1. Sabse pahle aap apne Tez aap ko open karke setting me jayiye,wha Aapko Help and feedback ka option milega us par click kariye.




Step.2. Ab aapko Phone ka option dikhega us par click kariye.

Step.3. Ab ek form open hoga usme aapko apna name aur mobile number aur pni problem likhna h, yah sab likhkar aap is forum ko publish kar dijiye. 

Dosto ab aapko Tez Customer care se  2 din me call aajayega. aap apni areshani ko unse kahe aur apni problem ko solve karaye.
Waise dosto mai aapko yahi khunga ki aapko call karne ki jaroorat h nhi padegi kyu ki jo paisa bank se katega wo paisa
 3-4 din me aapko ya aapke dosto ko mil jayenge.

Dosto kaise lagi hamari yah post hame comment karke jaroor bataye.