Paytm Ka Password Bhool jane par kya kare

Hi... Dosto Aapka Usman Plus blog me ek baar se phir se swagat h. Dosto aaj mai aapko paytm password ke baare me kuch batane wala hoo,jaise agar aap paytm ka
password bhool gaye ho to aapko kya karna chahiye. Dosto is post ko poora jaroor padhe.
Dosto Paytm Banking ki services bhi de raha h. jaise aap agar paytm par Paytm Bank account kholte h to aapko uske liye 1 paytm account ki jaroorat padti h,
Jab aapke paas paytm account rahega tabhi aapka paytm me bank account khul payega. lekin dosto agar aapne apna paytm me khata khulwa rakha h aur aap apne us
 khate me paisa rakhe h  aur aap apne paytm account ka password hool gaye h to ab aapko aysa lagta h ki aapke jitne bhi paise paytm bank account me h wo sab
gayab ho jayenge.aur bhi bhut se log apne paytm wallet me paisa rakhte h aur password bhool jane par mind ghoomne lagta h ki ab kya kare. lekin dosto aaj mai
 aapko is post me yahi bataunga ki agar aap apne paytm account ka password bhool gaye h to aapko patytm account ka nay password kaise milega.
Dosto agar aap apne paytm ka password bhool gaye h to aapko naya password banane ke liye pahle doosre tareeqa apnana padta tha lekin Paytm ne isme kuch sudhaar bhi
kiya h.is liye bhut se log jo pahle kabhi apne paytm ka password bhool gaye the wo alag tqreeqe se apne naye paytm ke password ko bana liya tha lekin ab agar wo apne
paytm ka password bhool gaye ho to unko naye paytm password ke liye kuch samasya ho sakti h,lekin don't worry dosto aaj aapko is post me yahi seekhne ko milega
 ki Paytm Ka password bhool jane par naya password kaise banaye.

Paytm Password bhool jane par Naya Password kaise Banaye  

UsmanPlus

Step.1. Sabse pahle aapko is number par call karna h.(jis number se paytm account bana h us number se hi call kare).01203888388
Step.2. Ab aapko language chunne ke liye kaha jayega, Agar aap hindi chunna chahte h to 2 Dabaye.
Step.3. Ab aapo 1 Dabana h.
jaise hi aap 1 dabayenge aapko ek message aayega jisme ek link hoga.
Step.4. Ab aapko us link ko open karna h apne Browser me.
Step.5. Ab Aapko No,I forgot the password of my account ko select karna h aur phir Proceed par click karna h.


Step.6. Ab aap apne paytm ka password bana sakte h. Aap jo chahe wo password bana sakte h.

Dosto kaisi lagi hamari yah post hame comment karke jaroor bataye. Aur apne dosto ke saath Facebook, Whatsapp, Twitter, Instagram, par jaroor share kare.