Website ka Url Kaise Change Kare

Hello Friends Aaj mai aapko is post me bataunga ki kaise Website ka Url Change karte hai. isliye is post ko poora jaroor padhe tabhi aapko yah process samajh me aayega. 


Dosto agar aapne apni website jaldi-jaldi me banayi h to jaroor aap apne website ka koi accha name rakhne ki koshish kiye honge aur aapko us samay wah website ka url bhut badhiya lagta tha lekin baad me jab kabhi kisi karan hame apne website ka url change karna hota h to ham pareshaan ho jaate h ki ab kya kare, kaise apne website ka url change kare. Dosto aap ghabrao mat aapko is post me isi ki jaankari milegi.

Dosto Ek baar maine bhi apni doosri website ka url change karne ko soch raha tha lekin mujhe samjh me nahi aa raha tha ki website ka url change kaise hoga, tab maine google kiya tab bhi mujhe aysi koi post nhi mili thi ki mai us post ki madad se apne website ka url change kar sakta. Aur phir mujhe Blogger se madad mili website ka url change karne ke baare me, aur maine wahi step follow karke apne website ka url change kar liya tha. 
Aaj mai aap sab ke liye washi step share kar raha hoo jisse aap logo ki bhi help ho sake, Aur agar hamari yah post aapko acchi lage to hame comment karke jaroor bataye.

Yah bhi Padhe:- Website (blog) Kaise Banaye 

Dosto Ab ham chalte hai apne process ki taraf. Aap step by step is process ko follow kare.

Website ka Url Kaise Change Kare? 

Step.1. Sabse Pahle Aap Apne Blogger Ke Dashbord me login ho jayiye.

Step.2. Ab aapko Setting ke Basic me jaana h.

Step.3. Ab aapko aapke Website ka Addres dikhega aur waha aapko Edit ka button bhi dikhega. Aapko Edit ke Button par click karne h.

Step.4. Ab aapka puraana url dikhega, Usko select karke delete kar de, aur apna Naya Url Likhkar Save kar de.