How to charge the smartphone fast?

Hey smartphone lovers aap sabhi jante hi honge ki 2-3 hours mobile phone ko lagatar use karne par batttery bahut jaldi khatam ho jati hai aur main yeh daawe ke sath keh sakta hu ki battery low hona kisi ko pasand nahi kyuki mobile phone ne technology mein kafi changes la diye hai aur sirf number dial karne se hamein apne family, friends aur relatives se baat karne ka mauka mil jata hai itna hi nahi aajke time mein hum apne phone se internet chala sakte hai, HD videos dekh sakte hai, 3D games khel sakte ho aur bhi bahut kuch kar sakte hai. Aajkal aise smartphones bhi aa rahe hai jo sirf 30 minute mein charge ho jata hai example keliye aap Le 1S ko dekho jo ki sirf 36 minute mein charge ho jata hai lekin sabhi mobile phones aise features support nahi karte aur lagbhag 1.30-2 hours laga dete hai full charge hone mein agar hum kuch savdhaniya apnaye toh apna mobile phone bhi jaldi charge kar sakte hai,


mobile phone jaldi charge kaise kare
Maan lo aapko emergency mein kahi baharjana hai lekin aapke phone ki battery puri low hai tab aap kya karoge ? Ji yeh bahut common problem hai jo bahut se log apne daily life mein face karte hai. So iska solution kya hai ? Ji iska solution bahut hi simple hai jo aaj main aapko iss post mein batane wala hu isliye iss post ko acche se read kare. Agar hum kuch tips follow kare toh humara phone fast charge ho sakta hai aur utna time nahi lagayega jitna hum sochte hai. Phone ko fast charge karne ke liye aapko kisi mehange phone ki jarurat nahi hai bas humare bataye huye tips acche se follow kare aur aapka kaam ho jayega

Smartphone ko fast charge kaise karen? 




  1. Switch Off Your Phone:Yeh sabse badhiya aur safe tarika hai mobile ko jaldi charge karne ka kyuki jab humara mobile phone switch off rahega uss time koi bhi backgroud app kaam nahi karega aur aapka mobile jaldi charge ho jayega. Maine yeh tarika sirf smartphone users ke liye hi nahi sabhi phones ke liye bataya hai isey aazma ke jarur dekhe aapko charging speed mein change jarur dikhai denge. Actually friends jab mere paas bhi jyada time nahi hota aur phone ko jaldi charge karna hota hai tab main bhi yahi tarika follow karta hu. 
  2. Enable Airplane/Flight Mode:Airplane mode ya fir aap isey flight mode bhi aap keh sakte ho yeh feature toh mostly sabhi mobile phones mein aapko mil jayega. Aapko yeh jankar hairani hogi kiyeh enable karne se aapka mobile jaldi charge ho sakta hai kyuki isey enable karne se aapke sabhi cellular calls ke signals disable ho jayenge aur aapka phone jaldi charge ho jayega. Aapko flight mode feature apne mobile phone ke settings mein jane par mil jayegaTurn Off GPS, Wifi, Data Connection, Bluetooth:Aapko shayad pata na ho ki GPS, Wifi, Data connection, Bluetooth jab aapke mobile phone mein enable rehta hai uss time battery jaldi khatam hone ke chances jyada hote hai isliye jab bhi apna mobile charge kare uss time inhe disable jarur kar de. Agar aap Airplan/Flight mode enable nahi karna chahte hai toh GPS, Wifi, Data connection, Bluetooth ko jarur disable kar de. Main aapko suggest karunga ki jab aapmobile ke kisi function ka use nahi kar raheho tab usey disable karde kyuki woh background mein battery consume karega. 
  3. Always Use Original Charger:Bahut se logo ka jab original charger kho jata hai ya fir unka charger kharab ho jata hai tab woh log apne phone ke liye kisi aur company ka charger use karne lagte hai aur unki yahi galti phone ki battery backup kam kar deti hai isliye humesha original charger ka hi use kare kyuki original charge humesha aapke phone ko dhyan mein rakh kar banaya jata hai. Kabhi apne phone ko kisi chinese ya local charger se charge karne ki koshish na kare kyuki yeh aapke battery ke liye accha nahi hoga. 
  4. Don’t Use Your Phone When Charging:Maine bahut se logo ko dekha hai ki charging karte time woh game khelte rehtehai, internet chalate rehte hai ya fir kisi se calling par baat kar rahe hote hai yeh bilkulgalti aadat hai aisi habits se aapka mobile explode(विस्फोट) ho sakta hai itna hi nahi aapka mobile overheat ho sakta hai sath mein battery backup bhi kam ho sakta hai. Main aapko yahi advice dunga ki charging ke time mobile se koi activity na kare warna aapko iska anjaam bhuktana pad sakta hai
  5. Clear Background Apps:Bahut baar hum ek sath bahut se apps open kar dete hai jiske wajah se humari battery jaldi consume ho jati hai. Kabhi bhi ek sath bahut se apps open nahi karne chahiye agar aapne aisa kar diya hai toh recent apps mein jaye aur unn sabhi apps ko clear karde. Play store par aise bahut bahut se apps aapko mil jayenge jo aapke background mein bhi run karte hai so unn apps ko apne phone mein install na kare. 
  6. Full Charge Your Phone:Hum sabhi logo ki mobile full charge na karne ki aadat hoti hai aur yahi aadat humare phone ki battery backup ko khatam kar deti hai. Jo log mobile addictedhote hai woh kuch percentage mobile charge hone ke baad usey charger se hata dete hai so friends aisa kabhi nahi karna chahiye. Har week aapko ek baar apna phone full charge jarur karna chahiye isse battery ki health bani rehti hai


Final Words: Aaj humne seekha ki mobile phone ki battery fast charge kaise kare. Iss post ko padhne ke baad aapko apni galti ka pata chal gaya hoga aur mujhe ummid hai ki aap yeh galti repeat nahi karoge aur humare bataye huye tips ko acche se follow jarur karoge. Agar iss post mein batayi huyi information aapko pasand aayi ho toh isey share jarur kare