Google Webmaster | Breadcrumb Issue Kaise Fix Kare?
2 minute read
1
Is article me maine blogger mein aane wale breadcrumb problem ko fix karne ke bare mein bataya hai. How to Fix Breadcrumb Problems in Blogger theme.
Aapko bata dun ki blogger ke naye algorithm ke anusar Agar aapke blog Mein breadcrumb code nahin hai to aapke blog ko rank hone Mein Thodi samasya ho sakti hai.
Jo blogger third party ka theme use karte hain unhen yah samasya dekhne Ko milti hai. Isko Google bhi automatic fix nahin karta isko manually karna padta hai.
Agar aapka theme Purana Hai To Bhi aapko breadcrumb problem dekhne Ko Mil sakti hai. Agar aap ka theme premium hai to Apne theme ko update Kar Lijiye. Update karne se yah problem solve ho jayegi.
Yah article specially un bloggers ke liye hai jo free theme use karte hain. Aapko Kuchh step follow karna hai isse aapki yah problem solve ho jayegi.
Main Apna experience Yahan per share kar raha hun. Is trick Ko Maine kaie blog per test kar liya hai uske bad hi yah article likh raha hoon.
Is problem ko fix karwane Ke Liye aap theme designer se Agar contact Karte Hain to aapko iske liye payment karna padega lekin is article ke padhne ke bad aap ise free mein kar sakte hain
How to Fix Breadcrumb Problems in Blogger?
Step.1
Sabse pahle aap apna theme blogger ke theme section Mein jakar download Kar Lijiye. Taaki baad me koi aamsya naa ho.
Step.2
Ab aapko Blogger Theme > Edit Html me jana hai.
Step.3
Agar Aap desktop use kar rahe hain to Ctrl+F button press karke "data-vocabulary" search kijiye.
Ab aapko https://data-vocabulary.org/broadcrumbs dikhayi dega. Is link ko https://schema.org/Breadcrumbs se replace karden, aur theme ko save karden.
(Agar aap mobile use kar rahe hai to quick edit app ko download kar lijiye, us app ke jariye is code ko search kar link replace kijiye).
Ab aapka breadcrumb issue fix ho gaya hai, search console me visit karke aap ise check kar sakte hain. Agar aapke theme me data-vocabulary 2 ya jyada jagah par hai to sabhi jagah ke link ko replace karna hai.