Blogging Kaise Start Kare

  Blogging Kaise Start Kare

Agar Aapko bhi blogging start karne ka modd ban chuka hai aur aap blogging start karne wale hai to ye article aapki thodi/bahut help jarur karega. How to Start a Blog?

start blogging

Aaj blogging ki halat ye hai ki Government Job Karne wale Employees bhi aaj kal blogging karte hain.

Blogging Karne ke Liye kya cheejen chahiye aur kaha se shuru karen, ye sab is article me bataya gaya hai.

2015 tak Blogging me aaj ke muqable bahut kam competition tha. ab Blogging thoda hard hai, par itna bhi nahi ki kiya bhi na  ja sake. 

 Blog Shuru Karne Ke liye Internet par bahut saare Content Management System Available hain. in sab me se 2 CMS hi Log use karte hain.


1.Wordpress
2.Blogger

Pahle Wordpress Ki Baat Kar lete hain:

Wordpress par blog start karne ke liye aapko Hosting Aur Domain ko purchase karna hi padega, Lekin Wordpress par Bahut saare features aise hain jise blogger me asani se use nahi kiya ja sakta. Agar aapko HTML ki thodi bhi jaankari na ho to bhi aap wordpress par apna blog start kar sakte hain. 


Ab Baat Karte hain Blogger Ki:

Blogger to ekdum Free ka CMS hai. kyunki isme Domain Aur Hosting ko purchase nahi karna padta. Blogger Google ka hi ek Product hai. Blogger apni Hosting aur 1 Subdomain Free me deta hai. Subdomain example.blogspot.com ki tarah hota hai. Agar Aapko HTML aur CSS ki thodi Jaankari h to acchi baat hai,nahi to koi problem bhi nahi hai. kyunki lagbhag sare HTML code aur CSS online Internet par  uplabdh hain. Sabse Khas baat yah hai ki Blogger par hosted site kabhi down nahi hoti hai.UsmanPlus bhi Blogger par hi hosted hai.

 

Blogging Ke Liye Kya-Kya Chahiye?

  1. Smartphone/Laptop
  2. Blog/Website
  3. Internet
  4. Writing Skill
  5. Internet ki thodi Jankari

Start A Blog :

Blogging Start Karne Ke liye  pahla Step hai 'ek Blog banana': how to create a blog on blogger in hindi?

Blog Banane Ke baad ise acche se design Karle. Jaise ki Logo wagerah laga le.Apni Custom Theme lagana chahe to wo laga le.

Blog Banane Ke baad Social Media par Apne Blog ke name se hi page jarur banaye taaki promotion asani se ho sake.


Submit Your Blog to Search Engine :

Blog Banane ke baad ise Google search me laane ke liye ise Google Search Console me submit karna hoga. apne blog ko google search console me submit jarur karen, nahi to aapka blog google search me nahi aayega.


Write A Post :

Ab aapka Blog/website ban chuka hai. ab aapko ispar useful aur informative article likhne hain. Article Likhne se pahle Keyword ka dhyan jarur rakhen. Aapka blog Blogger par bana hai isliye blogger par post likhne ke baare me bata raha hun. 


1.Blogger Dashboard me Login Kare, New Post par click kijiye.
2. ab jo page open hoga usme apni post ka title aur compose box me apna content likhe.
3. Label, Permalink, laga kar apni article ko publish kar den.

ab apne blog par jyada se jyada traffic lane ka paryaas karen. aur traffic tabhi aayega jab aap unique articles likhenge. Traffic aane ke baaad aapke blog se earning bhi suru ho jayegi. (ummid hai aap ye jarur samjh gaye honge ki Blogging Start Kaise Kare)