Windows 7 Me Bina Driver CD Ke Koi Bhi Printer Kaise Install Kare

Hey Dosto Usman Plus Blog me aapka ek baar phir se swagat h, Dosto aaj mai ek nayi post lekar aaya hoo is post me aap log seekhenge  ki kaise bina  driver cd ke kisi bhi printer ko Windows 7 me install karte h? Dosto aaj mai aapko is post me yahi batane wala hoo, isliye aap is post ko poora jaroor padhne.
Dosto kabhi-kabhi Hamare printer ke driver ki CD gayab ho jaati h aur hame koi document print karna hua to hame bhut pareshani hoti h,  ya phir Driver ki CD kharabi ho jaaye tab aap kisi Dukaan par le Jate h aur Dukaandaar aapse bhut paise Maggne lagta h to aap bhut pareshan ho Jate h,  Lekin Dosto aaj mai aapko bata wala hoo ki bina driver CD ke printer ko kaise install karte h.

Dosto aap step by step is process ko follow kare.

Bina Driver CD ke Printer ko Windows 7 me kaise install karte h



STEP. 1. Sabse pahle aap apne printer ko apne laptop ya computer se USB ke dwara connect kijiye.
STEP. 2.  Ab aap apne laptop ke Device and Printer me jaaye, yaha aapko Add Printer ka button dikhega, us button  par click kijiye.
 
STEP. 3. Ab aapko ADD A LOCAL PRINTER par click karna h.


STEP.4. Ab aapko USE AN EXISTING PORT: me USB002(VIRTUAL PRINTER PORT FOR USB) ko select karna h, Select karke NEXT karna h.


STEP. 5. Ab appko ek screen dikhayi degi,  isme 2 Column honge,  MANUFACTURE me aapko apne printer ke Company ka name select karna h,  Aur PRINTERS wale column me Aapko apne printer ka model select karna h, (jaise Maine HP Select kiya h aur Printer me HP Laser Jet P1007 select kiya h), Select karne ke baad NEXT karna h.


Ab aapka printer install ho jayega.
Note:-Yah process sirf Windows 7 ke liye hi h.

To Dosto kaisi laga Hamari yah post hame comment karke jaroor banaye.